Tuesday, March 3, 2009

Duniya (Gulaal)

If you are one of the die-hard lovers of older Hindi music, it's one of the best times to listen to contemporary music. Because today, while composers are trying new things everyday, many are scaling themselves to the tunes of older times and trying to find the music of those times. And fortunately, some of them are getting quite some success too.

Piyush Mishra's Duniya is one such attempt which is based on one of the best lines of one of the most revered movies, 'Ye Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai' from Pyaasa. Piyush has sung the song himself and so he is the composer, lyricist and singer at the same time, making Duniya completely his own song.

The song opens up with the words O ri duniya and it starts looking promising by the time he renders these words the third time as Piyush gets into rhyme and jumps right into the song with just a little supporting music and takes the song and music solely on his voice for the first two long lines. Even while going further, the song doesn't have many instruments in the background as Piyush clearly isn't interested in adding any hindrances or distractions from the thoughtful lyrics.

The song is almost the same in its implications as was Gurudutt's version of Ye Duniya while being less harsh but trying to be more subtle. There is hardly a need to say that the song is completely lyrics based and Piyush tries to be as simple in everything else as possible. If you are into serious lyrics or poetry, Duniya is a must check. You'd definitely love it.

Lyrics:

O ri Duniya
Surmayi aankhon ke pyaalon ki duniya o duniya
Satrangi rangon gulaalon ki duniya o duniya
Alsaayi sejon ke phoolon ki duniya o duniya re
Angdaai tode kabootar ki duniya o duniya re
Karwat le soyi haqueeqat ki duniya o duniya
Deewaani hoti tabeeyat ki duniya o duniya
Khwahish mein lipti zaroorat ki duniya o duniya re
Insaan ke sapno ki neeyat ki duniya o Duniya
O ri Duniya

Ye duniya agar mil bhi jaaye to kya hai
Mamta ki bikhri kahaani ki duniya o duniya
Behno ki siski jawaani ki duniya o duniya
Aadam ke Hawwaa se rishte ki duniya o duniya re
Shaayar ke pheeke lafzon ki duniya o duniya
o o oo....... o o oo......
Ghalib ke Momin ke khwaabon ki duniya
Majaazon ke un inqalaabon ki duniya
Faiz Firaaq aur Saahir o Makhdoom
Mir ki Zauk ki Daagh ki duniya
Ye duniya agar mil bhi jaye to kya hai

Pal chhin mein baatein chali jaati hain hain
Pal chhin mein raatein chali jaati hain hain
Reh jaata hai jo savera wo dhoondhe
Jalte makaan mein basera wo dhoondhe
Jaisi bachi hai waisi ki waisi bachaa lo ye duniya
Apna samajhke apno ke jaisi uthaalo ye duniya
Chhit put si baaton mein jalne lagegi sambhaalo ye duniya…
Kat pit ke raaton mein palne lagegi sambhaalo ye duniya..
O ri Duniya..

Wo kahein hain ki duniya ye itni nahi hai
Sitaaron se aage jahaan aur bhi hain
Ye hum hi nahi hain wahaan aur bhi hain
Hamaari har ek baat hoti wahin hai
Hamein aitraaz nahi hai kahin bhi
Wo aalim hain faazil hain honge sahi hi
Magar falsafaa ye bigad jaata hai
Jo wo kehte hain
Aalim ye kehta wahan Eeshwar hai
Faazil ye kehta wahan Allah hai
Qaabil ye kehta wahan Isa hai
Manzil ye kegti tab insaan se ki
Tumhari hai tum hi sambhalon ye duniya
Ye bujhte huye chand baasi charaaghon ki
Tumhaare ye kaale iraadon ki duniya…



Related Articles by Categories


0 comments: