Thursday, September 10, 2009

Yaar mila tha saiyyan (Blue: Udit Narayan, Madhushree)

So the long-awaited music of Blue is out and though we can see Kylie Minogue singing and dancing, Farhan Akhtar hasn't sung for the album and the music of Rahman is not as good as I had expected to say the least.

Still, there are some good things in the album, one of them a beautiful, romantic and a quite dramatic song by Udit Narayan, Madhushree, and Ujjayinee Roy, Yaar Mila tha Saiyyan. A R Rahman hasn't used Udit a lot, but whenever he does it, the result is good. The song has a village background and you can hear a Lagaan in the song until you see the video. Madhushree is good as always and the song is worth listening to.

Lyrics:

yaar mila tha saiyyan
ik din yaar mila tha saiyyan
aankhon mein sapne, dil mein leke
pyaar mila tha saiyyan
kya main karti saiyyan baiyyan
kya main karti saiyyan
teri yaad mein kitni sadiyaan aah bharti saiyyan

are kuch to sharam kar leti ab kya kahegi duniya
tu uske sang ho lee us peepal ki chhaiyyan

socha nikal loon, par pallu, wo kheencha zor se,
bola sandesa, wo laya, hai teri or se

haye dil ghayal, zakhmi jiya,
kaise jiye ab tera piya,
maar diya dulhaniya tune maar diya dulhaniya
jeete jee apne saiyyan ko maar diya dulhaniya

yaar mila tha saiyyan
ik din yaar mila tha saiyyan

hai kusoor kya mera bata na yoon sata main-
teri raah takti thi

raah takti thi to khafa
ho gayi thi tu ya bewafa
ki panghat pe, ghoonghat ke bina
ja baithi kaise tu, wo bhi mere bina
usi panghat pe jahan jhat se
pehli baar thaami thi maine teri kalayee
harjaayee
jahan dhoop se hum bache the jahan nache the
apne kadam
aur besharam
wo kalaai tu thama ke aayi hathon mein na jaane

kis khote ke, kis pote ke,
mere hote se, par sote se,

par tune hi to use bheja na
ki mera pyaar piya ko de ja na

yaar bulaya saiyyan maine yaar bulaya saiyyan
bhooli saari duniya jab ek baar bulaya saiyyan

to aa gale dulhaniya lag ja aa gale dulhaniya
dekh ke apni yaari duniya laakh jale dulhaniya

yaar bulaya saiyyan--lag ja aa gale dulhaniya
bhooli saari duniya--duniya laakh jale dulhaniya

are teri wafa ke kisse ab ga rahi hai duniya
har maa kahe bete se, la aisi dulhaniya
haaye dil ghayal, zakhmi jiya
jiye bas jiye ab, mera piya..



Related Articles by Categories


0 comments: